rifaqat ko kisi ki ro rahi hun
rifāqat ko kisī kī ro rahī huuñ
bharī mahfil meñ tanhā ho rahī huuñ
har ik chehra badaltā jā rahā hai
maiñ ḳhā.if ā.inoñ se ho rahī huuñ
suno maiñ zindagī kī zulmatoñ meñ
sadāqat ke ujāle bo rahī huuñ
havā ke dukh kī chādar oḌh lī hai
bichhā kar āñsuoñ ko so rahī huuñ
mirī miTTī ko shāyad narm rakkheñ
lahū se lafz likh kar bo rahī huuñ
bujhā kar saarī ḳhushiyāñ bām-o-dar kī
maiñ ik vīrān ghar meñ so rahī huuñ
rifaqat ko kisi ki ro rahi hun
bhari mahfil mein tanha ho rahi hun
har ek chehra badalta ja raha hai
main KHaif aainon se ho rahi hun
suno main zindagi ki zulmaton mein
sadaqat ke ujale bo rahi hun
hawa ke dukh ki chadar oDh li hai
bichha kar aansuon ko so rahi hun
meri miTTi ko shayad narm rakkhen
lahu se lafz likh kar bo rahi hun
bujha kar sari KHushiyan baam-o-dar ki
main ek viran ghar mein so rahi hun
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 467)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.