rihai pa na saka sar-phiri hawaon se main
rihā.ī pā na sakā sar-phirī havāoñ se maiñ
tamām umr ulajhtā rahā sadāoñ se maiñ
lagegā vaqt zarā aañkh kholne meñ mujhe
nikal ke aaya huuñ tārīk-tar guphāoñ se maiñ
hai merī piiTh pe ik haath hausla detā
savāl hī nahīñ ghabrā.ūñ ibtilāoñ se maiñ
sukūn vaqt ke sahrā ko paar kar ke milā
rihā.ī pā gayā lamhoñ kī dhūp-chhāñv se maiñ
kisī ke haath sahārā jo ban ga.e hote
to do qadam bhī na chal paatā apne paaoñ se maiñ
har ek ġham ke samundar ko jast-e-vāhid se
ubuur kartā huuñ ai maañ tirī duāoñ se maiñ
ye sang-zār marī guftugū samajhte haiñ
kalām kartā huuñ ai 'nūr' be-navāoñ se maiñ
rihai pa na saka sar-phiri hawaon se main
tamam umr ulajhta raha sadaon se main
lagega waqt zara aankh kholne mein mujhe
nikal ke aaya hun tarik-tar guphaon se main
hai meri piTh pe ek hath hausla deta
sawal hi nahin ghabraun ibtilaon se main
sukun waqt ke sahra ko par kar ke mila
rihai pa gaya lamhon ki dhup-chhanw se main
kisi ke hath sahaara jo ban gae hote
to do qadam bhi na chal pata apne paon se main
har ek gham ke samundar ko jast-e-wahid se
ubur karta hun ai man teri duaon se main
ye sang-zar mari guftugu samajhte hain
kalam karta hun ai 'nur' be-nawaon se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.