ris raha hai muddat se koi pahla gham mujh mein
ris rahā hai muddat se koī pahlā ġham mujh meñ
rāsta banātā hai āñsuoñ kā nam mujh meñ
tujh se yuuñ shahanshāhā ho to kyā shikāyat ho
gaah shor karte haiñ tere besh o kam mujh meñ
maiñ vo lauh-e-sāda huuñ jo tujhe ayaañ kar de
raushnī ke ḳhat meñ hai ik nafas raqam mujh meñ
umr kī udāsī ke dūsre kināre par
ek ajnabī chehra ho rahā hai zam mujh meñ
tai huā ki marnā to lāzmī natīja hai
ghūñT ghūñT girtā hai zindagī kā sam mujh meñ
ris raha hai muddat se koi pahla gham mujh mein
rasta banata hai aansuon ka nam mujh mein
tujh se yun shahanshaha ho to kya shikayat ho
gah shor karte hain tere besh o kam mujh mein
main wo lauh-e-sada hun jo tujhe ayan kar de
raushni ke KHat mein hai ek nafas raqam mujh mein
umr ki udasi ke dusre kinare par
ek ajnabi chehra ho raha hai zam mujh mein
tai hua ki marna to lazmi natija hai
ghunT ghunT girta hai zindagi ka sam mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.