rishta kaise TuTta hai KHwab se tabir ka
rishta kaise TūTtā hai ḳhvāb se ta.abīr kā
aao dikhlā.ūñ tumheñ ye khel bhī taqdīr kā
ai musavvir hai yahī hāsil tirī tahrīr kā
husn ḳhud hī pairahan hai husn kī tasvīr kā
ban gayā hai isti.āra husn-e-ālam-gīr kā
ā.ina-dar-ā.ina chehra mirī tahrīr kā
jaise jaise qaid kī mī.ād ghaTtī jā.egī
tañg hotā jā.egā halqa mirī zanjīr kā
ye kitāb-e-dil hai qur.ān-e-mohabbat hai huzūr
marhala dar-pesh hai is husn kī tafsīr kā
sach agar pūchho to mere pīr-o-murshid haiñ yahī
maiñ aqīdat-mañd huuñ 'qaisar' janāb-e-mīr kā
rishta kaise TuTta hai KHwab se tabir ka
aao dikhlaun tumhein ye khel bhi taqdir ka
ai musawwir hai yahi hasil teri tahrir ka
husn KHud hi pairahan hai husn ki taswir ka
ban gaya hai istiara husn-e-alam-gir ka
aaina-dar-aina chehra meri tahrir ka
jaise jaise qaid ki miad ghaTti jaegi
tang hota jaega halqa meri zanjir ka
ye kitab-e-dil hai quran-e-mohabbat hai huzur
marhala dar-pesh hai is husn ki tafsir ka
sach agar puchho to mere pir-o-murshid hain yahi
main aqidat-mand hun 'qaisar' janab-e-mir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.