rishta mein kaun hai wo main is pesh-o-pas mein tha
rishta meñ kaun hai vo maiñ is pesh-o-pas meñ thā
ik shaḳhs us kī seat pe baiThā jo bus meñ thā
mujh se bichhaḌ ke kar lī mohabbat ne ḳhud-kushī
ik zaḳhm raat us kī kalā.ī kī nas meñ thā
shāḳhoñ se us ko ahl-e-havas ne jhapaT liyā
varna vo ek phuul mirī dastaras meñ thā
māhaul ghar kā dekh ke jī aur jal gayā
pahle se saarā jism hī din-bhar umas meñ thā
banjar banā gayā hai taḳhayyul kī sarzamīñ
har qāfiya ġhazal kā hisār-e-havas meñ thā
us kī falak-bulandī-e-parvāz dekh kar
maiñ kaise maan luuñ ki parinda qafas meñ thā
āmāda-e-firāq thā kal raat is qadar
'dilbar' ko rok paanā kahāñ mere bas meñ thā
rishta mein kaun hai wo main is pesh-o-pas mein tha
ek shaKHs us ki seat pe baiTha jo bus mein tha
mujh se bichhaD ke kar li mohabbat ne KHud-kushi
ek zaKHm raat us ki kalai ki nas mein tha
shaKHon se us ko ahl-e-hawas ne jhapaT liya
warna wo ek phul meri dastaras mein tha
mahaul ghar ka dekh ke ji aur jal gaya
pahle se sara jism hi din-bhar umas mein tha
banjar bana gaya hai taKHayyul ki sarzamin
har qafiya ghazal ka hisar-e-hawas mein tha
us ki falak-bulandi-e-parwaz dekh kar
main kaise man lun ki parinda qafas mein tha
aamada-e-firaq tha kal raat is qadar
'dilbar' ko rok pana kahan mere bas mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.