rishta nahin hai ab koi dar-e-fana ke sath
rishta nahīñ hai ab koī dār-e-fanā ke saath
tā-hashr apnī ḳhaak uḌegī havā ke saath
thūkā thā ḳhuun jis ke liye rāh-e-ishq meñ
ubhrā huuñ us ke haath pe rang-e-hinā ke saath
ai chhoḌ jaane vaale zarā pīchhe muḌ ke dekh
har saañs uḌ rahī hai tirī gard-e-pā ke saath
laa.ī thī jo uḌā ke havā bū-e-zulf-e-yār
le jā rahī hai hosh-o-ḳhirad ab uḌā ke saath
tū hī batā de kaise ziyārat tirī karūñ
chaspāñ hai merī chashm tire naqsh-e-pā ke saath
laatī hai mujh ko khīñch ke chaukhaT pe baar baar
kaisī kashish hai nasb tirī har sadā ke saath
'shahbāz' mere ashk ke kaise bujheñge diip
lau ġham kī mil ga.ī hai muḳhālif havā ke saath
rishta nahin hai ab koi dar-e-fana ke sath
ta-hashr apni KHak uDegi hawa ke sath
thuka tha KHun jis ke liye rah-e-ishq mein
ubhra hun us ke hath pe rang-e-hina ke sath
ai chhoD jaane wale zara pichhe muD ke dekh
har sans uD rahi hai teri gard-e-pa ke sath
lai thi jo uDa ke hawa bu-e-zulf-e-yar
le ja rahi hai hosh-o-KHirad ab uDa ke sath
tu hi bata de kaise ziyarat teri karun
chaspan hai meri chashm tere naqsh-e-pa ke sath
lati hai mujh ko khinch ke chaukhaT pe bar bar
kaisi kashish hai nasb teri har sada ke sath
'shahbaz' mere ashk ke kaise bujhenge dip
lau gham ki mil gai hai muKHalif hawa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.