rishton ki bhiD mein bhi wo tanha khaDa raha
rishtoñ kī bhiiḌ meñ bhī vo tanhā khaḌā rahā
nadiyāñ thī us ke paas vo pyāsā khaḌā rahā
sab us ko dekh dekh ke bāhar chale ga.e
vo ā.īna thā ghar meñ akelā khaḌā rahā
is daur meñ us shaḳhs kī himmat to dekhiye
apnoñ ke biich rah ke bhī zinda khaḌā rahā
mere pitā kī umr se kam thī na us kī umr
vo gir rahā thā aur maiñ hañstā khaḌā rahā
bārish huī to log sabhī ghar meñ chhup ga.e
vo ghar kī chhat thā is liye bhīgā khaḌā rahā
us ghar meñ pāñch beTe the sab the alag alag
ik baap ban ke un kī samasyā khaḌā rahā
duniyā ko us ne raushnī bāñTī tamām umr
lekin vo apnī aag meñ jaltā khaḌā rahā
rishton ki bhiD mein bhi wo tanha khaDa raha
nadiyan thi us ke pas wo pyasa khaDa raha
sab us ko dekh dekh ke bahar chale gae
wo aaina tha ghar mein akela khaDa raha
is daur mein us shaKHs ki himmat to dekhiye
apnon ke bich rah ke bhi zinda khaDa raha
mere pita ki umr se kam thi na us ki umr
wo gir raha tha aur main hansta khaDa raha
barish hui to log sabhi ghar mein chhup gae
wo ghar ki chhat tha is liye bhiga khaDa raha
us ghar mein panch beTe the sab the alag alag
ek bap ban ke un ki samasya khaDa raha
duniya ko us ne raushni banTi tamam umr
lekin wo apni aag mein jalta khaDa raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.