rishton ki uljhanon ke bhanwar se nikal gaya
rishtoñ kī uljhanoñ ke bhañvar se nikal gayā
vo shaḳhs aaj apne hī ghar se nikal gayā
pathrīle hādsoñ ne lahū kar diyā use
saudā savād-e-sher kā sar se nikal gayā
mausam javān dekh ke jāgīñ baġhāvateñ
har ik parinda būḌhe shajar se nikal gayā
lafzoñ ke her-pher meñ uljhā rahā jo shaḳhs
vo e.atibār-e-arz-e-hunar se nikal gayā
nauha ham apnī zaat kā likhte to kis tarah
qatra lahū kā dīda-e-tar se nikal gayā
chamkā diye usī ne añdheroñ ke aa.ine
jo bhī savād-e-shām-o-sahar se nikal gayā
sab jī rahe haiñ phir bhī haqīqat hai ye 'nazīr'
har shaḳhs zindagī ke asar se nikal gayā
rishton ki uljhanon ke bhanwar se nikal gaya
wo shaKHs aaj apne hi ghar se nikal gaya
pathrile hadson ne lahu kar diya use
sauda sawad-e-sher ka sar se nikal gaya
mausam jawan dekh ke jagin baghawaten
har ek parinda buDhe shajar se nikal gaya
lafzon ke her-pher mein uljha raha jo shaKHs
wo eatibar-e-arz-e-hunar se nikal gaya
nauha hum apni zat ka likhte to kis tarah
qatra lahu ka dida-e-tar se nikal gaya
chamka diye usi ne andheron ke aaine
jo bhi sawad-e-sham-o-sahar se nikal gaya
sab ji rahe hain phir bhi haqiqat hai ye 'nazir'
har shaKHs zindagi ke asar se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.