riwayaton ke abhi aaftab baqi hain
rivāyatoñ ke abhī āftāb baaqī haiñ
sharāfatoñ ke abhī māhtāb baaqī haiñ
ye maanā ham ne ki āzād ho chuke lekin
abhī ġhulāmī ke ham par azaab baaqī haiñ
unhī ke dam se hai raunaq yahī haiñ sarmāya
bikherte hue ḳhushbū gulāb baaqī haiñ
ye tarjumān-e-hayāt-e-bashar haiñ dekho to
ubharte phūTte ab bhī habāb baaqī haiñ
haqīqatoñ se jo parda uThā huā ma.alūm
ba-nām-e-dost abhī tak sarāb baaqī haiñ
riwayaton ke abhi aaftab baqi hain
sharafaton ke abhi mahtab baqi hain
ye mana hum ne ki aazad ho chuke lekin
abhi ghulami ke hum par azab baqi hain
unhi ke dam se hai raunaq yahi hain sarmaya
bikherte hue KHushbu gulab baqi hain
ye tarjuman-e-hayat-e-bashar hain dekho to
ubharte phuTte ab bhi habab baqi hain
haqiqaton se jo parda uTha hua malum
ba-nam-e-dost abhi tak sarab baqi hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 223)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.