riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil
riyā-kārī ke dhandoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
ḳhudā ke nek bandoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
vafā kī sūkhtī jhīloñ se lākhoñ kuuch karte haiñ
magar uḌte parindoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
tamāshā dekhte haiñ aap apnā aur hañste haiñ
hamāre dard-mandoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
abhī to bhīgte lamhoñ ne pahlā bhed paayā hai
abhī bārish kī būñdoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
chhalakte haiñ mohabbat rāstī aur harf ke pyāle
kaheñ kaise ki rindoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
fasād-o-qatl karte haiñ jo tere mere nāmoñ par
ilāhī in darindoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
na e.azāzāt aur PR nai seminar aur tamġhe
adab ke shar-pasandoñ meñ na tū shāmil na maiñ shāmil
riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil
KHuda ke nek bandon mein na tu shamil na main shamil
wafa ki sukhti jhilon se lakhon kuch karte hain
magar uDte parindon mein na tu shamil na main shamil
tamasha dekhte hain aap apna aur hanste hain
hamare dard-mandon mein na tu shamil na main shamil
abhi to bhigte lamhon ne pahla bhed paya hai
abhi barish ki bundon mein na tu shamil na main shamil
chhalakte hain mohabbat rasti aur harf ke pyale
kahen kaise ki rindon mein na tu shamil na main shamil
fasad-o-qatl karte hain jo tere mere namon par
ilahi in darindon mein na tu shamil na main shamil
na eazazat aur PR nai seminar aur tamghe
adab ke shar-pasandon mein na tu shamil na main shamil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.