rizq-e-bar-haq mere hisse mein nahin aaya abhi
rizq-e-bar-haq mere hisse meñ nahīñ aayā abhī
tere hone par mujhe phir se yaqīñ aayā abhī
maiñ to kab se ḳhāna-e-dil ko sajā.e baiThā thā
ab ye us kī kam-nasībī gar makīñ aayā abhī
ye maza dasht-e-tamannā kī masāfat meñ milā
āsmāñ lagtā thā bas sū-e-zamīñ aayā abhī
jo sitāra muTThī meñ mahsūs hotā thā mujhe
vāqi'a yuuñ hai ki vo mere qarīñ aayā abhī
rizq-e-bar-haq mere hisse mein nahin aaya abhi
tere hone par mujhe phir se yaqin aaya abhi
main to kab se KHana-e-dil ko sajae baiTha tha
ab ye us ki kam-nasibi gar makin aaya abhi
ye maza dasht-e-tamanna ki masafat mein mila
aasman lagta tha bas su-e-zamin aaya abhi
jo sitara muTThi mein mahsus hota tha mujhe
waqi'a yun hai ki wo mere qarin aaya abhi
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 57)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.