ro kar nasib-e-ishq ko barsat bhi gai
ro kar nasīb-e-ishq ko barsāt bhī ga.ī
bhaḌkā ke aag bhīgī huī raat bhī ga.ī
le ḳhud-nigar chale tirī mahfil se uTh ke ham
tujh se to mil ke ishq kī auqāt bhī ga.ī
kuchh aap mast-e-nāz the kuchh ham ġhayūr the
thoḌī bahut jo thī vo mulāqāt bhī ga.ī
kyā jaane kis umiid pe hai intizār ab
hālāñki vo umīd-e-mulāqāt bhī ga.ī
murjhā chalā hai āḳhrī taarā bhī ai 'shahāb'
so jā.iye ab aap ki ye raat bhī ga.ī
ro kar nasib-e-ishq ko barsat bhi gai
bhaDka ke aag bhigi hui raat bhi gai
le KHud-nigar chale teri mahfil se uTh ke hum
tujh se to mil ke ishq ki auqat bhi gai
kuchh aap mast-e-naz the kuchh hum ghayur the
thoDi bahut jo thi wo mulaqat bhi gai
kya jaane kis umid pe hai intizar ab
haalanki wo umid-e-mulaqat bhi gai
murjha chala hai aaKHri tara bhi ai 'shahab'
so jaiye ab aap ki ye raat bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.