ro raha hun main ki naqd-e-dil gaya
ro rahā huuñ maiñ ki naqd-e-dil gayā
vo ye ḳhush haiñ ik ḳhazāna mil gayā
yaad un kī aa ga.ī jab dil gayā
ik na ik hamdard mujh ko mil gayā
shauq meñ tāqat to dekho zo.af kī
baiThe baiThe maiñ ka.ī manzil gayā
kah gayā koī ye merī qabr par
bevafā hūroñ se jā kar mil gayā
pā-e-rangīñ chūmne ke shauq meñ
ḳhuun ho kar dil hinā meñ mil gayā
aah kī aur un ke dil meñ raah kī
ik qadam chal kar ka.ī manzil gayā
ek parda paḌ gayā mahmil pe aur
jab ġhubār-e-qais tā-mahmil gayā
dil liyā to dard kyoñ rahne diyā
itnā pūchhūñgā agar vo mil gayā
pūchhtā hai koī dil par rakh ke haath
kahiye ab to iztirāb-e-dil gayā
aap to ārām se sote rahe
aur yahāñ nāloñ se aalam hil gayā
uf nigāh-e-yās kā 'muztar' asar
duur tak rotā huā qātil gayā
ro raha hun main ki naqd-e-dil gaya
wo ye KHush hain ek KHazana mil gaya
yaad un ki aa gai jab dil gaya
ek na ek hamdard mujh ko mil gaya
shauq mein taqat to dekho zoaf ki
baiThe baiThe main kai manzil gaya
kah gaya koi ye meri qabr par
bewafa huron se ja kar mil gaya
pa-e-rangin chumne ke shauq mein
KHun ho kar dil hina mein mil gaya
aah ki aur un ke dil mein rah ki
ek qadam chal kar kai manzil gaya
ek parda paD gaya mahmil pe aur
jab ghubar-e-qais ta-mahmil gaya
dil liya to dard kyon rahne diya
itna puchhunga agar wo mil gaya
puchhta hai koi dil par rakh ke hath
kahiye ab to iztirab-e-dil gaya
aap to aaram se sote rahe
aur yahan nalon se aalam hil gaya
uf nigah-e-yas ka 'muztar' asar
dur tak rota hua qatil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.