rog maine bhi kai jaan ko lagae barson
rog maiñ ne bhī ka.ī jaañ ko lagā.e barsoñ
jaane vaale bhī nahīñ lauT ke aa.e barsoñ
āḳhirash taab mashaqqat kī na āñkhoñ meñ rahī
maiñ ne rozī kī tarah ḳhvāb kamā.e barsoñ
dhuul jazboñ kī haTā.ī to ye ehsās huā
is mohabbat meñ shab-o-roz gañvā.e barsoñ
tū nahīñ thā to muqaddar bhī ġhunūda hī rahe
Thokareñ maar ke bhī ham ne jagā.e barsoñ
us kī āñkhoñ se kisī taur añdherā na gayā
diip jis ke liye ḳhuuñ se bhī jalā.e barsoñ
ruuTh kar shahr-e-ḳhamoshāñ ko ga.e aate nahīñ
hichkiyāñ le ke koī chāhe manā.e barsoñ
maiñ bhī sah paayā nahīñ terī judā.ī ko 'hasan'
aur is dil se bhī uThtī rahī haa.e barsoñ
rog main ne bhi kai jaan ko lagae barson
jaane wale bhi nahin lauT ke aae barson
aaKHirash tab mashaqqat ki na aankhon mein rahi
main ne rozi ki tarah KHwab kamae barson
dhul jazbon ki haTai to ye ehsas hua
is mohabbat mein shab-o-roz ganwae barson
tu nahin tha to muqaddar bhi ghunuda hi rahe
Thokaren mar ke bhi hum ne jagae barson
us ki aankhon se kisi taur andhera na gaya
dip jis ke liye KHun se bhi jalae barson
ruTh kar shahr-e-KHamoshan ko gae aate nahin
hichkiyan le ke koi chahe manae barson
main bhi sah paya nahin teri judai ko 'hasan'
aur is dil se bhi uThti rahi hae barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.