rog ulfat ka jise lag jae hai
rog ulfat ka jise lag jae hai
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
rog ulfat kā jise lag jaa.e hai
lutf jiine kā vahī kuchh paa.e hai
yuuñ miTā jaatā hai rāh-e-ishq meñ
ḳhāk-e-parvāna yahī batlā.e hai
va.ada aane kā kiyā hai ā.eñge
ai dil-e-nādān kyoñ ghabrā.e hai
āh-e-mazlūmā se sach hai ham-nashīñ
āsmāñ kyā arsh bhī tharrā.e hai
aap ne shā.ir kahā shā.ir huuñ maiñ
shā.erī varna mujhe kab aa.e hai
sāhil-e-ummīd pā kar ai 'shafī.a'
kashtī-e-ummīd Duubī jaa.e hai
rog ulfat ka jise lag jae hai
lutf jine ka wahi kuchh pae hai
yun miTa jata hai rah-e-ishq mein
KHak-e-parwana yahi batlae hai
wada aane ka kiya hai aaenge
ai dil-e-nadan kyon ghabrae hai
aah-e-mazluma se sach hai ham-nashin
aasman kya arsh bhi tharrae hai
aap ne shair kaha shair hun main
shaeri warna mujhe kab aae hai
sahil-e-ummid pa kar ai 'shafia'
kashti-e-ummid Dubi jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.