roiye mat miyan samajhte hain
roiye mat miyāñ samajhte haiñ
saarī majbūriyāñ samajhte haiñ
sab jinheñ be-zabāñ samajhte the
pyaar kī vo zabāñ samajhte haiñ
ham to bachpan se ek duuje kī
ḳhūbiyāñ ḳhāmiyāñ samajhte haiñ
kyā mohabbat ke mā'nī samjhā.eñ
aaj ke naujavāñ samajhte haiñ
ham to dhartī pe jaan dete haiñ
ham to dhartī ko maañ samajhte haiñ
ḳhuub vāqif haiñ apne bachchoñ se
baaġh ko bāġhbāñ samajhte haiñ
kitnā saada mizāj hai un kā
haañ kā matlab bhī haañ samajhte haiñ
kyā mohabbat hai jānte haiñ 'faiz'
ham ki aThkheliyāñ samajhte haiñ
roiye mat miyan samajhte hain
sari majburiyan samajhte hain
sab jinhen be-zaban samajhte the
pyar ki wo zaban samajhte hain
hum to bachpan se ek duje ki
KHubiyan KHamiyan samajhte hain
kya mohabbat ke ma'ni samjhaen
aaj ke naujawan samajhte hain
hum to dharti pe jaan dete hain
hum to dharti ko man samajhte hain
KHub waqif hain apne bachchon se
bagh ko baghban samajhte hain
kitna sada mizaj hai un ka
han ka matlab bhi han samajhte hain
kya mohabbat hai jaante hain 'faiz'
hum ki aThkheliyan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.