rok pae na makin ghar se guzarta pani
rok paa.e na makīñ ghar se guzartā paanī
aañkh se bahne lagā sar se guzartā paanī
mere ta.amīr kiye ret ke in mahloñ par
muskurāyā hai barābar se guzartā paanī
husn shaffāf hai aisā ki nazar aatā hai
paikar-e-māh-e-munavvar se guzartā paanī
sabza-o-gul se gurezāñ hai tabī.at jis kī
maiñ huuñ us dasht-e-sitamgar se guzartā paanī
koī dariyā hai jo dariyā hai abhī tak 'sānī'
kitnā shīrīñ hai samundar se guzartā paanī
rok pae na makin ghar se guzarta pani
aankh se bahne laga sar se guzarta pani
mere tamir kiye ret ke in mahlon par
muskuraya hai barabar se guzarta pani
husn shaffaf hai aisa ki nazar aata hai
paikar-e-mah-e-munawwar se guzarta pani
sabza-o-gul se gurezan hai tabiat jis ki
main hun us dasht-e-sitamgar se guzarta pani
koi dariya hai jo dariya hai abhi tak 'sani'
kitna shirin hai samundar se guzarta pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.