rokega qadam kyun-kar raste ka KHatar mera
rokegā qadam kyūñ-kar raste kā ḳhatar merā
jab tak ki salāmat hai ye zauq-e-safar merā
maujoñ ke sahāre hī pā lūñgā maiñ sāhil ko
kar saktā nahīñ beḌā ġharqāb bhañvar merā
sīñchā hai lahū de kar jab maiñ ne chaman apnā
sūkhegā bhalā kaise jazboñ kā shajar merā
ḳhair apnī manāo tum ab fikr mirī chhoḌo
shīshe ke makāñ vaalo patthar hai jigar merā
hai saarī zamīñ apnī hai saarā jahāñ apnā
dhartī kā har ik TukḌā hai aaj nagar merā
chaTkeñgī yahāñ kaliyāñ mahkegā chaman saarā
jab degā lahū apnā aakar ke 'zafar' merā
rokega qadam kyun-kar raste ka KHatar mera
jab tak ki salamat hai ye zauq-e-safar mera
maujon ke sahaare hi pa lunga main sahil ko
kar sakta nahin beDa gharqab bhanwar mera
sincha hai lahu de kar jab main ne chaman apna
sukhega bhala kaise jazbon ka shajar mera
KHair apni manao tum ab fikr meri chhoDo
shishe ke makan walo patthar hai jigar mera
hai sari zamin apni hai sara jahan apna
dharti ka har ek TukDa hai aaj nagar mera
chaTkengi yahan kaliyan mahkega chaman sara
jab dega lahu apna aakar ke 'zafar' mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.