roko ye wahshaton ka bahao kisi tarah
roko ye vahshatoñ kā bahāo kisī tarah
kashtī ko nāḳhudā se bachāo kisī tarah
ye amn kā chaman ḳhas-o-ḳhāshāk ho na jaa.e
barso mohabbatoñ kī ghatāo kisī tarah
kab tak phiroge dar-badarī kā junūñ liye
dil meñ jagah kisī ke banāo kisī tarah
hotī nahīñ haiñ kam kisī sūrat bhī nafrateñ
is ḳhār-o-ḳhas meñ aag lagāo kisī tarah
āñkhoñ meñ āñsuoñ kā ḳhazāna nahīñ rahā
phir de koī judā.ī ke ghaav kisī tarah
ye qahqahoñ kī khokhlī barsāt ḳhatm ho
andar ke aadmī ko rulāo kisī tarah
ashkoñ kā tohfa pesh karo un ke rū-ba-rū
sūraj ko bhī charāġh dikhāo kisī tarah
roko ye wahshaton ka bahao kisi tarah
kashti ko naKHuda se bachao kisi tarah
ye amn ka chaman KHas-o-KHashak ho na jae
barso mohabbaton ki ghatao kisi tarah
kab tak phiroge dar-badari ka junun liye
dil mein jagah kisi ke banao kisi tarah
hoti nahin hain kam kisi surat bhi nafraten
is KHar-o-KHas mein aag lagao kisi tarah
aankhon mein aansuon ka KHazana nahin raha
phir de koi judai ke ghaw kisi tarah
ye qahqahon ki khokhli barsat KHatm ho
andar ke aadmi ko rulao kisi tarah
ashkon ka tohfa pesh karo un ke ru-ba-ru
suraj ko bhi charagh dikhao kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.