rone se kam hua na hamare jigar ka bojh
rone se kam huā na hamāre jigar kā bojh
dāman pe aa ke Thahr gayā chashm-e-tar kā bojh
kal ham ne apne sar pe uThā lī thī kā.enāt
uThtā nahīñ hai aaj magar apne sar kā bojh
vo duur apne baam se jhāñkā hai phir koī
ab āsmāñ utaar ke pheñke qamar kā bojh
vo pūchhte haiñ aaj mirī uljhanoñ kī baat
shāyad chhateñ uThā.eñgī dīvār-o-dar kā bojh
'anjum' vahīñ pe TuuT ga.e saare silsile
un se na uTh sakā tirī tishna-nazar kā bojh
rone se kam hua na hamare jigar ka bojh
daman pe aa ke Thahr gaya chashm-e-tar ka bojh
kal hum ne apne sar pe uTha li thi kaenat
uThta nahin hai aaj magar apne sar ka bojh
wo dur apne baam se jhanka hai phir koi
ab aasman utar ke phenke qamar ka bojh
wo puchhte hain aaj meri uljhanon ki baat
shayad chhaten uThaengi diwar-o-dar ka bojh
'anjum' wahin pe TuT gae sare silsile
un se na uTh saka teri tishna-nazar ka bojh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.