rose dene lage aazar ye kya
roz dene lage āzār ye kyā
aur samajhte ho use pyaar ye kyā
jurm-e-ulfat kī hai taqdīr ye kyuuñ
ham se rahte haiñ vo bezār ye kyā
nā-tavānī huī hamdard mirī
dard kahtā hai ki sarkār ye kyā
tum to ġhārat-gar-e-dil ho sāhab
phir tumheñ kahte haiñ dildār ye kyā
aah kī maiñ ne to bole hai hai
jī uThā 'āshiq'-e-bīmār ye kyā
roz dene lage aazar ye kya
aur samajhte ho use pyar ye kya
jurm-e-ulfat ki hai taqdir ye kyun
hum se rahte hain wo bezar ye kya
na-tawani hui hamdard meri
dard kahta hai ki sarkar ye kya
tum to ghaarat-gar-e-dil ho sahab
phir tumhein kahte hain dildar ye kya
aah ki main ne to bole hai hai
ji uTha 'ashiq'-e-bimar ye kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.