rota raha main usko wo roya kiya mujhe
rotā rahā maiñ us ko vo royā kiyā mujhe
kal raat ek dasht ne dariyā kiyā mujhe
vaise to hādse ka.ī pahle bhī ho chuke
lekin ye kyā ki tum ne to sajda kiyā mujhe
mujh par davā-e-zaḳhm huī be-asar to phir
us ke gudāz jism ne achchhā kiyā mujhe
āñkhoñ meñ jab talak rahā duniyā kī raat thā
chhū kar tirī nazar ne saverā kiyā mujhe
kis kā bichhoh thā mujhe tārīk kar gayā
kis ke milan ne phir se diyā sā kiyā mujhe
us kī hī pyaas thī mujhe dar-dar jo le ga.ī
aur us kī aarzū ne hī sahrā kiyā mujhe
rota raha main us ko wo roya kiya mujhe
kal raat ek dasht ne dariya kiya mujhe
waise to hadse kai pahle bhi ho chuke
lekin ye kya ki tum ne to sajda kiya mujhe
mujh par dawa-e-zaKHm hui be-asar to phir
us ke gudaz jism ne achchha kiya mujhe
aankhon mein jab talak raha duniya ki raat tha
chhu kar teri nazar ne sawera kiya mujhe
kis ka bichhoh tha mujhe tarik kar gaya
kis ke milan ne phir se diya sa kiya mujhe
us ki hi pyas thi mujhe dar-dar jo le gai
aur us ki aarzu ne hi sahra kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.