rote hue dekha gaya mehman kisi ka
rote hue dekhā gayā mehmān kisī kā
kartā nahīñ ab koī bhī darmān kisī kā
muñh-zor udāsī ke sabab tujh ko pukārā
varna maiñ uThātā nahīñ ehsān kisī kā
hijrat ne qabīle kā ajab haal kiyā hai
mat pūchh ki koī nahīñ pursān kisī kā
lauT aa.eñ ḳhudārā mire ajdād kahīñ se
jo dekh nahīñ sakte the nuqsān kisī kā
apnoñ ko chhupā rakhte haiñ sad-ḳhāna-e-dil meñ
yuuñ naam nahīñ lete haiñ nādān kisī kā
ma.amūlī nahīñ hote haiñ ashkoñ ke ḳhazāne
ye aaheñ hilā saktī haiñ aivān kisī kā
rote hue dekha gaya mehman kisi ka
karta nahin ab koi bhi darman kisi ka
munh-zor udasi ke sabab tujh ko pukara
warna main uThata nahin ehsan kisi ka
hijrat ne qabile ka ajab haal kiya hai
mat puchh ki koi nahin pursan kisi ka
lauT aaen KHudara mere ajdad kahin se
jo dekh nahin sakte the nuqsan kisi ka
apnon ko chhupa rakhte hain sad-KHana-e-dil mein
yun nam nahin lete hain nadan kisi ka
mamuli nahin hote hain ashkon ke KHazane
ye aahen hila sakti hain aiwan kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.