rote hue ek bar main is taur hansun bhi
rote hue ik baar maiñ is taur hañsūñ bhī
sab ahl-e-hunar jaan sakeñ zor-e-junūñ bhī
haq-hū pe dharo kaan bhale Thiik hai lekin
kuchh apnī samā'at meñ bharo kun-fayakūñ bhī
ġhhambīr ḳhamoshī hai magar dard hai sar meñ
ai kaash ki sannāToñ meñ mil jaatā sukūñ bhī
yā'nī ki shab-o-roz tujhe duur se dekhūñ
matlab ki maiñ har roz marūñ roz jiyūñ bhī
yā'nī ki tire saath bhī chup-chāp guzārūñ
phir haath chhuḌā le ki guzar jaanī thī yuuñ bhī
kab aa.egā jaane mujhe alfāz meñ Dhalnā
jab logoñ se bolūñ ki maiñ ḳhush huuñ to lagūñ bhī
rote hue ek bar main is taur hansun bhi
sab ahl-e-hunar jaan saken zor-e-junun bhi
haq-hu pe dharo kan bhale Thik hai lekin
kuchh apni sama'at mein bharo kun-fayakun bhi
ghambir KHamoshi hai magar dard hai sar mein
ai kash ki sannaTon mein mil jata sukun bhi
ya'ni ki shab-o-roz tujhe dur se dekhun
matlab ki main har roz marun roz jiyun bhi
ya'ni ki tere sath bhi chup-chap guzarun
phir hath chhuDa le ki guzar jaani thi yun bhi
kab aaega jaane mujhe alfaz mein Dhalna
jab logon se bolun ki main KHush hun to lagun bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.