rote rahta hai diwar se lag kar pagal hai
rote rahtā hai dīvār se lag kar pāgal hai
suntā huuñ apne baare meñ aksar pāgal hai
jis ko paane kī ḳhātir kab se pāgal thā maiñ
us ne mujh se haath chhuḌāyā kah kar pāgal hai
jo ham ko nahīñ karne the vo saare kaam kiye
kaun bhalā duniyā meñ ham se baḌh kar pāgal hai
terī rāheñ takte takte ho ga.e patthar ham
ab to is ko haath lagā de patthar pāgal hai
ek parī ne jab se is meñ paañv bhigo.e haiñ
chaaT rahā hai sāhil yaar samundar pāgal hai
rote rahta hai diwar se lag kar pagal hai
sunta hun apne bare mein aksar pagal hai
jis ko pane ki KHatir kab se pagal tha main
us ne mujh se hath chhuDaya kah kar pagal hai
jo hum ko nahin karne the wo sare kaam kiye
kaun bhala duniya mein hum se baDh kar pagal hai
teri rahen takte takte ho gae patthar hum
ab to is ko hath laga de patthar pagal hai
ek pari ne jab se is mein panw bhigoe hain
chaT raha hai sahil yar samundar pagal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.