rote rote aankh hanse to hansne do
rote rote aañkh hañse to hañsne do
hoñToñ par muskān ko zinda rahne do
ḳhushiyoñ kī rut par bhī un ke pahre haiñ
be-mausam ke phuul khileñ to khilne do
kitnā gahrā sannāTā hai sāhil par
lahroñ se tūfān uThe to uThne do
jaane kab vo ek musāfir aa pahuñche
chaukhaT par ik diip jalā kar jalne do
jin ḳhvāboñ meñ us kī ḳhushbū phailī hai
un ḳhvāboñ ko dil meñ zinda rahne do
logoñ se kah do ummīdeñ zinda haiñ
'qaisar' aañsū palkoñ se mat girne do
rote rote aankh hanse to hansne do
honTon par muskan ko zinda rahne do
KHushiyon ki rut par bhi un ke pahre hain
be-mausam ke phul khilen to khilne do
kitna gahra sannaTa hai sahil par
lahron se tufan uThe to uThne do
jaane kab wo ek musafir aa pahunche
chaukhaT par ek dip jala kar jalne do
jin KHwabon mein us ki KHushbu phaili hai
un KHwabon ko dil mein zinda rahne do
logon se kah do ummiden zinda hain
'qaisar' aansu palkon se mat girne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.