roz-e-awwal se mahw-e-yas hun main
roz-e-avval se mahv-e-yās huuñ maiñ
apne har karb kī asaas huuñ maiñ
aaj ke din ḳhushī milī thī mujhe
aaj ke din bahut udaas huuñ maiñ
kaun dekhegā mere ḳhvāb miyāñ
ḳhūbsūrat na ḳhush-libās huuñ maiñ
aaj mere gumān meñ tum ho
aaj goyā tumhāre paas huuñ maiñ
fikr merī na kījiye sāhib
ḳhud-nigar aur ḳhud-shanās huuñ maiñ
gulshan-e-shā.erī meñ ai gul-chīñ
gul-e-nau-ḳhāsta kī baas huuñ maiñ
ḳhush-gumānī hai is qadar 'kāshif'
ye ki shahr-e-suḳhan kī aas huuñ maiñ
roz-e-awwal se mahw-e-yas hun main
apne har karb ki asas hun main
aaj ke din KHushi mili thi mujhe
aaj ke din bahut udas hun main
kaun dekhega mere KHwab miyan
KHubsurat na KHush-libas hun main
aaj mere guman mein tum ho
aaj goya tumhaare pas hun main
fikr meri na kijiye sahib
KHud-nigar aur KHud-shanas hun main
gulshan-e-shaeri mein ai gul-chin
gul-e-nau-KHasta ki bas hun main
KHush-gumani hai is qadar 'kashif'
ye ki shahr-e-suKHan ki aas hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.