roz-e-awwal se yahi karta raha hai aadmi
roz-e-avval se yahī kartā rahā hai aadmī
sochtā kam aur ziyāda boltā hai aadmī
hai ye qāsir apne chehre ko badalne se magar
aa.ina har zāviye se dekhtā hai aadmī
kaun sī manzil hai us kī aur jaanā hai kahāñ
nit-na.e rastoñ pe chaltā jā rahā hai aadmī
hai kisī kā intizār us ko yā us kā ḳhabt hai
yā har ik aahaT pe rasman chauñktā hai aadmī
harakat-o-saknāt zinda haiñ 'niyāz' us meñ magar
sach to ye hai jaane kab kā mar chukā hai aadmī
roz-e-awwal se yahi karta raha hai aadmi
sochta kam aur ziyaada bolta hai aadmi
hai ye qasir apne chehre ko badalne se magar
aaina har zawiye se dekhta hai aadmi
kaun si manzil hai us ki aur jaana hai kahan
nit-nae raston pe chalta ja raha hai aadmi
hai kisi ka intizar us ko ya us ka KHabt hai
ya har ek aahaT pe rasman chaunkta hai aadmi
harakat-o-saknat zinda hain 'niyaz' us mein magar
sach to ye hai jaane kab ka mar chuka hai aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.