roz-e-hisab sab ko shikayat hai aap se
roz-e-hisāb sab ko shikāyat hai aap se
ab dekhiye ki kis ko mohabbat hai aap se
sumbul ho gul ho sarv ho nargis ki bū-e-gul
har chiiz gulsitāñ kī ibārat hai aap se
gul hoñ ki mehr-o-māh hoñ anjum ki sham-e-bazm
miltī huī har ek kī sūrat hai aap se
fikr-e-ma.āsh fikr-e-suḳhan fikr-e-dahr hai
vābasta ab to merī tabī.at hai aap se
ab gulsitān-e-dahr kyā bāġh-e-iram se bhī
maiñ be-niyāz huuñ mujhe nisbat hai aap se
sajda sanam-kade meñ ho yā kohsār meñ
mansūb sirf merī ibādat hai aap se
maiñ dekhtā huuñ har hasīñ sūrat meñ aap ko
nikhrā huā ye husn-e-basīrat hai aap se
muḳhtār aap the mire vaqt-e-gunāh bhī
phir bhī huzūr mujh ko nadāmat hai aap se
poshīda aap se to nahīñ hai 'shifā' kā haal
vo aap kā hai us ko aqīdat hai aap se
roz-e-hisab sab ko shikayat hai aap se
ab dekhiye ki kis ko mohabbat hai aap se
sumbul ho gul ho sarw ho nargis ki bu-e-gul
har chiz gulsitan ki ibarat hai aap se
gul hon ki mehr-o-mah hon anjum ki sham-e-bazm
milti hui har ek ki surat hai aap se
fikr-e-maash fikr-e-suKHan fikr-e-dahr hai
wabasta ab to meri tabiat hai aap se
ab gulsitan-e-dahr kya bagh-e-iram se bhi
main be-niyaz hun mujhe nisbat hai aap se
sajda sanam-kade mein ho ya kohsar mein
mansub sirf meri ibaadat hai aap se
main dekhta hun har hasin surat mein aap ko
nikhra hua ye husn-e-basirat hai aap se
muKHtar aap the mere waqt-e-gunah bhi
phir bhi huzur mujh ko nadamat hai aap se
poshida aap se to nahin hai 'shifa' ka haal
wo aap ka hai us ko aqidat hai aap se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.