roz-e-raushan ko shab-e-tar na kahna aaya
roz-e-raushan ko shab-e-tār na kahnā aayā
raat ko matla-e-anvār na kahnā aayā
kī hai duniyā ne isī par to adāvat ham se
saaf jumla pas-e-dīvār na kahnā aayā
apne is jurm pe iz.hār-e-nadāmat kaisā
dasht-e-pur-ḳhār ko gulzār na kahnā aayā
bāl-o-par kaaT diye ahl-e-gulistāñ ne mire
chob ko shāḳh-e-samar-dār na kahnā aayā
qasr-e-taḳhrīb kī ta.amīr hai jin ke hāthoñ
haañ unheñ vaqt ke me.amār na kahnā aayā
roz-e-raushan ko shab-e-tar na kahna aaya
raat ko matla-e-anwar na kahna aaya
ki hai duniya ne isi par to adawat hum se
saf jumla pas-e-diwar na kahna aaya
apne is jurm pe izhaar-e-nadamat kaisa
dasht-e-pur-KHar ko gulzar na kahna aaya
baal-o-par kaT diye ahl-e-gulistan ne mere
chob ko shaKH-e-samar-dar na kahna aaya
qasr-e-taKHrib ki tamir hai jin ke hathon
han unhen waqt ke meamar na kahna aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.