roz fikr-e-maash karta hun
roz fikr-e-ma'āsh kartā huuñ
apnā hissa talāsh kartā huuñ
maiñ jahān-e-fareb kā har pal
aa.ina paash paash kartā huuñ
saarī duniyā ḳhilāf hai mujh se
maiñ jo sach kī talāsh kartā huuñ
dil ke gahre khañDar meñ roz-o-shab
dafn ḳhvāhish kī laash kartā huuñ
apnī mehnat se apne bachchoñ ko
misl-e-gul shādbāsh kartā huuñ
ḳhaar milte haiñ misl-e-gul mujh se
maiñ jahāñ būd-o-bāsh kartā huuñ
hañs ke sab se 'adīm' miltā huuñ
duur dil kī ḳharāsh kartā huuñ
roz fikr-e-ma'ash karta hun
apna hissa talash karta hun
main jahan-e-fareb ka har pal
aaina pash pash karta hun
sari duniya KHilaf hai mujh se
main jo sach ki talash karta hun
dil ke gahre khanDar mein roz-o-shab
dafn KHwahish ki lash karta hun
apni mehnat se apne bachchon ko
misl-e-gul shadbash karta hun
KHar milte hain misl-e-gul mujh se
main jahan bud-o-bash karta hun
hans ke sab se 'adim' milta hun
dur dil ki KHarash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.