roz ek fitna uThate kyon ho
roz ik fitna uThāte kyoñ ho
zulm logoñ pe yuuñ dhāte kyoñ ho
nasl-e-ādam se ta.alluq rakh kar
ḳhuun insāñ kā bahāte kyoñ ho
haiñ jo ma.asūm farishte un ko
paaTh nafrat kā paḌhāte kyoñ ho
jab ujāle ke muhāfiz Thahre
phir charāġhoñ ko bujhāte kyoñ ho
paḌ gayā qaht hai kyā paanī kā
ḳhuun se pyaas bujhāte kyoñ ho
ranjisheñ kam haiñ diloñ meñ 'nādim'
dūriyāñ aur baḌhāte kyoñ ho
roz ek fitna uThate kyon ho
zulm logon pe yun dhate kyon ho
nasl-e-adam se talluq rakh kar
KHun insan ka bahate kyon ho
hain jo masum farishte un ko
paTh nafrat ka paDhate kyon ho
jab ujale ke muhafiz Thahre
phir charaghon ko bujhate kyon ho
paD gaya qaht hai kya pani ka
KHun se pyas bujhate kyon ho
ranjishen kam hain dilon mein 'nadim'
duriyan aur baDhate kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.