roz jita hun roz marta hun
roz jiitā huuñ roz martā huuñ
apne hālāt se maiñ haarā huuñ
ab mirā koī bhī nahīñ yaaro
maiñ akelā nahīñ huuñ tanhā huuñ
ḳhuld kī ne.amatoñ kī baat na kar
vā.izā das dinoñ se bhūkā huuñ
merī ḳhātir na dar-ba-dar bhaTko
maiñ ki ik ajnabī kā da.avā huuñ
dafn mujh meñ hazār dariyā haiñ
maiñ ba-zāhir agarche sahrā huuñ
ho mirī lahd meñ koī āġhosh
dostā umr-bhar kā jaagā huuñ
roz jita hun roz marta hun
apne haalat se main haara hun
ab mera koi bhi nahin yaro
main akela nahin hun tanha hun
KHuld ki neamaton ki baat na kar
waiza das dinon se bhuka hun
meri KHatir na dar-ba-dar bhaTko
main ki ek ajnabi ka dawa hun
dafn mujh mein hazar dariya hain
main ba-zahir agarche sahra hun
ho meri lahd mein koi aaghosh
dosta umr-bhar ka jaga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.