roz kaTte hain yahan hath kamane wale
roz kaTte haiñ yahāñ haath kamāne vaale
jiine dete nahīñ muflis ko zamāne vaale
apnā nafrat kī siyāsat se ta'alluq hī nahīñ
ham haiñ dam toḌtī qadroñ ko bachāne vaale
bāñTte haiñ jo zamīnoñ ko koī aur haiñ vo
ham nahīñ sahn meñ dīvār uThāne vaale
āḳhir ik din unheñ tazlīl to sahnā hogī
jo haiñ kam-zarf kā ehsān uThāne vaale
vā'da-e-'ishq nibhāne nahīñ aate us ko
vahī andāz haiñ us ke bhī zamāne vaale
dekhnā kal isī dhartī se numū pā.eñge
muflisoñ ke liye āvāz uThāne vaale
yaar yāroñ ke liye jaan luTāte the 'umair'
ab kahāñ log ta'alluq ko nibhāne vaale
roz kaTte hain yahan hath kamane wale
jine dete nahin muflis ko zamane wale
apna nafrat ki siyasat se ta'alluq hi nahin
hum hain dam toDti qadron ko bachane wale
banTte hain jo zaminon ko koi aur hain wo
hum nahin sahn mein diwar uThane wale
aaKHir ek din unhen tazlil to sahna hogi
jo hain kam-zarf ka ehsan uThane wale
wa'da-e-'ishq nibhane nahin aate us ko
wahi andaz hain us ke bhi zamane wale
dekhna kal isi dharti se numu paenge
muflison ke liye aawaz uThane wale
yar yaron ke liye jaan luTate the 'umair'
ab kahan log ta'alluq ko nibhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.