roz KHud ko hi KHafa karte hain
roz ḳhud ko hī ḳhafā karte haiñ
ḳhud pe rah-rah ke hañsā karte haiñ
ham shikāyat bhī kiyā karte nahīñ
kaun kahtā hai vafā karte haiñ
kaun rahtā hai zarā se dil meñ
log hastī meñ rahā karte haiñ
jaan denā bhī hamārā fan hai
aur to ḳhud ko rihā karte haiñ
kuchh raqīboñ se gila yuuñ bhī nahīñ
ham jo kahte haiñ kiyā karte haiñ
roz KHud ko hi KHafa karte hain
KHud pe rah-rah ke hansa karte hain
hum shikayat bhi kiya karte nahin
kaun kahta hai wafa karte hain
kaun rahta hai zara se dil mein
log hasti mein raha karte hain
jaan dena bhi hamara fan hai
aur to KHud ko riha karte hain
kuchh raqibon se gila yun bhi nahin
hum jo kahte hain kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.