roz marna nasib thoDi hai
roz marnā nasīb thoḌī hai
zindagī hai salīb thoḌī hai
kaise manzil dikhā.ūñ maiñ us ko
duur hai vo qarīb thoḌī hai
sab use chāhte haiñ lekin vo
har kisī kā habīb thoḌī hai
ek shahzāda dil meñ bastā hai
dil hamārā ġharīb thoḌī hai
hāl-e-dil jānte haiñ sab merā
hāl-e-dil kuchh 'ajīb thoḌī hai
nabz merī isī se chaltī hai
vo sabhī kā tabīb thoḌī hai
us ne bhī dil diyā tumheñ hañs kar
vo 'azal' se raqīb thoḌī hai
roz marna nasib thoDi hai
zindagi hai salib thoDi hai
kaise manzil dikhaun main us ko
dur hai wo qarib thoDi hai
sab use chahte hain lekin wo
har kisi ka habib thoDi hai
ek shahzada dil mein basta hai
dil hamara gharib thoDi hai
haal-e-dil jaante hain sab mera
haal-e-dil kuchh 'ajib thoDi hai
nabz meri isi se chalti hai
wo sabhi ka tabib thoDi hai
us ne bhi dil diya tumhein hans kar
wo 'azal' se raqib thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.