roz nafrat-zada aasar ko paDhte paDhte
roz nafrat-zada aasar ko paDhte paDhte
Sangeeta Srivastava Suman
MORE BYSangeeta Srivastava Suman
roz nafrat-zada āsār ko paḌhte paḌhte
mar na jā.ūñ kahīñ aḳhbār ko paḌhte paḌhte
vaqt kī chaal ko likh paane kī sūrat nāpaid
tiir chal jaate haiñ talvār ko paḌhte paḌhte
dar banāne ke irāde rakhe rah jaate haiñ
niiñd aa jaatī hai dīvār ko paḌhte paḌhte
kaun paḌh pā.egā āñkhoñ ke ishāroñ ko bhalā
aa.ina kho gayā ruḳhsār ko paḌhte paḌhte
ham ko mā'lūm nahīñ kaise ham apne ghar tak
aa ga.e kūcha-o-bāzār ko paḌhte paḌhte
saare uljhāv ke mansūbe koī or na chhor
huuñ pas-o-pesh meñ sarkār ko paḌhte paḌhte
kitne armān use dekh ke jaage the 'suman'
so ga.e sab lab-e-iqrār ko paḌhte paḌhte
roz nafrat-zada aasar ko paDhte paDhte
mar na jaun kahin aKHbar ko paDhte paDhte
waqt ki chaal ko likh pane ki surat napaid
tir chal jate hain talwar ko paDhte paDhte
dar banane ke irade rakhe rah jate hain
nind aa jati hai diwar ko paDhte paDhte
kaun paDh paega aankhon ke ishaaron ko bhala
aaina kho gaya ruKHsar ko paDhte paDhte
hum ko ma'lum nahin kaise hum apne ghar tak
aa gae kucha-o-bazar ko paDhte paDhte
sare uljhaw ke mansube koi or na chhor
hun pas-o-pesh mein sarkar ko paDhte paDhte
kitne arman use dekh ke jage the 'suman'
so gae sab lab-e-iqrar ko paDhte paDhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.