roz-o-shab hai meri justuju aaina
roz-o-shab hai mirī justujū aa.ina
dasht-o-koh-o-daman kū-ba-kū aa.ina
aks-dar-aks phailā hai ik silsila
ālam-e-hū meñ hai ek hū aa.ina
dekh apne bhī aa kar muqābil kabhī
roz rakhtā hai tū rū-ba-rū aa.ina
kuchh hameñ bhī batā kuchh hameñ bhī sunā
tujh se kartā hai kyā guftugū aa.ina
jo bhī hai saaf kah de munāfiq na ban
dekh motī sī hai aabrū aa.ina
hāsidoñ ke jo tīroñ se dil par lageñ
zaḳhm kartā hai vo bhī rafū aa.ina
muddatoñ baad 'ḳhusrav' ye mujh par khulā
maiñ tirā aks merā hai tū aa.ina
roz-o-shab hai meri justuju aaina
dasht-o-koh-o-daman ku-ba-ku aaina
aks-dar-aks phaila hai ek silsila
aalam-e-hu mein hai ek hu aaina
dekh apne bhi aa kar muqabil kabhi
roz rakhta hai tu ru-ba-ru aaina
kuchh hamein bhi bata kuchh hamein bhi suna
tujh se karta hai kya guftugu aaina
jo bhi hai saf kah de munafiq na ban
dekh moti si hai aabru aaina
hasidon ke jo tiron se dil par lagen
zaKHm karta hai wo bhi rafu aaina
muddaton baad 'KHusraw' ye mujh par khula
main tera aks mera hai tu aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.