roz samjhauton ke zahrab piye ja rahe hain
roz samjhautoñ ke zahrāb piye jā rahe haiñ
kaise jiinā thā hameñ kaise jiye jā rahe haiñ
dil bhī kambaḳht ho jaise kisī muflis kā libās
jitnā phahTtā hai bas utnā hī siiye jā rahe haiñ
yaad karte haiñ tujhe roz bhulāne ke liye
jo na karnā thā vahī kaam kiye jā rahe haiñ
aane vaalā koī tūfān hai 'sayyad-kāshif'
dekh ishārāt havāoñ se diye jā rahe haiñ
roz samjhauton ke zahrab piye ja rahe hain
kaise jina tha hamein kaise jiye ja rahe hain
dil bhi kambaKHt ho jaise kisi muflis ka libas
jitna phahTta hai bas utna hi siye ja rahe hain
yaad karte hain tujhe roz bhulane ke liye
jo na karna tha wahi kaam kiye ja rahe hain
aane wala koi tufan hai 'sayyad-kashif'
dekh ishaaraat hawaon se diye ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.