roz tujhko yaad karne ki tamanna bhi nahin
roz tujh ko yaad karne kī tamannā bhī nahīñ
bhuul jaane kā magar ham meñ kaleja bhī nahīñ
ġhaib hī se mo'jiza ho baat tab shāyad bane
dasht-e-imkān meñ khaḌā huuñ aur rasta bhī nahīñ
zaḳhm bhī riste nahīñ tanz-e-zamāna be-asar
hai maraz merā yagāna duur hotā bhī nahīñ
paḌ na jaanā 'ishq meñ tum shā’iroñ ke jaan lo
kab ġhazal kar deñ ye ḳhārij kuchh bharosa bhī nahīñ
nik.hat-e-gul kī tarah bikhrā diyā us kā pata
muntashir huuñ 'ishq rakhne kā salīqa bhī nahīñ
zaat meñ merī udāsī kā hai naqsh-e-mo’tabar
zaat meñ merī ḳhushī kā to Thikānā bhī nahīñ
aag chūlhe kī jalī to ḳhvāhisheñ īñdhan banīñ
raakh hī meñ dab gayā sho’la jo bhaḌkā bhī nahīñ
roz tujh ko yaad karne ki tamanna bhi nahin
bhul jaane ka magar hum mein kaleja bhi nahin
ghaib hi se mo'jiza ho baat tab shayad bane
dasht-e-imkan mein khaDa hun aur rasta bhi nahin
zaKHm bhi riste nahin tanz-e-zamana be-asar
hai maraz mera yagana dur hota bhi nahin
paD na jaana 'ishq mein tum sha’iron ke jaan lo
kab ghazal kar den ye KHarij kuchh bharosa bhi nahin
nikhat-e-gul ki tarah bikhra diya us ka pata
muntashir hun 'ishq rakhne ka saliqa bhi nahin
zat mein meri udasi ka hai naqsh-e-mo’tabar
zat mein meri KHushi ka to Thikana bhi nahin
aag chulhe ki jali to KHwahishen indhan banin
rakh hi mein dab gaya sho’la jo bhaDka bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.