roz tūfāñ ko guzārā maiñ karūñ
aur phir ghar ko sañvārā maiñ karūñ
ek ummīd kā tinkā hī sahī
ḳhud ko us se hī ubhārā maiñ karūñ
muntazir hai merā sailāb abhī
us kī zid hai ki ishāra maiñ karūñ
dhuup hī dhuup ho to mushkil hai
kaise saa.e se kināra maiñ karūñ
mas.ala ik dafa meñ bas ye hai
dil to chāhegā dobāra maiñ karūñ
merī ḳhāmoshī nidā hai merī
har ghaḌī ḳhud ko pukārā maiñ karūñ
maiñ kabhī haar ke bhī jīt.tā huuñ
vo kabhī jiit ke haarā maiñ karūñ
zindagī ko thamā ke jām-e-mai
zahr ko zahr se maarā maiñ karūñ
ab bhī kuchh baaqī hai terā merā
kyoñ na is ko bhī hamārā maiñ karūñ
roz tufan ko guzara main karun
aur phir ghar ko sanwara main karun
ek ummid ka tinka hi sahi
KHud ko us se hi ubhaara main karun
muntazir hai mera sailab abhi
us ki zid hai ki ishaara main karun
dhup hi dhup ho to mushkil hai
kaise sae se kinara main karun
masala ek dafa mein bas ye hai
dil to chahega dobara main karun
meri KHamoshi nida hai meri
har ghaDi KHud ko pukara main karun
main kabhi haar ke bhi jitta hun
wo kabhi jit ke haara main karun
zindagi ko thama ke jam-e-mai
zahr ko zahr se mara main karun
ab bhi kuchh baqi hai tera mera
kyon na is ko bhi hamara main karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.