rozana koi kasa gadai ka uTha kar
rozāna koī kaasa gadā.ī kā uThā kar
kūche se guzar jaatā hai āvāz lagā kar
ye kaisā sitam hai ki dikhā.ī na de mujh ko
vo shaḳhs jo niklā nahīñ siine meñ samā kar
dil kis kī tasallī ke liye jalne lagā thā
dil kis ke liye raakh huā ḳhud ko jalā kar
ik ā.ina-bardār ke māthe pe likhā thā
sach bol magar jhuuT kī shīrīnī milā kar
duniyā kā har ik sāhab-o-muḳhtār bhī tujh sā
insān hai insāñ ko banāyā na ḳhudā kar
ye hijr-e-musalsal rahā ā.īn-e-mohabbat
is dard kī talḳhī se pareshāñ na huā kar
'ādil' ye sar-e-shām kahāñ jaane lagā hai
tū suut kī dastār meñ paivand lagā kar
rozana koi kasa gadai ka uTha kar
kuche se guzar jata hai aawaz laga kar
ye kaisa sitam hai ki dikhai na de mujh ko
wo shaKHs jo nikla nahin sine mein sama kar
dil kis ki tasalli ke liye jalne laga tha
dil kis ke liye rakh hua KHud ko jala kar
ek aaina-bardar ke mathe pe likha tha
sach bol magar jhuT ki shirini mila kar
duniya ka har ek sahab-o-muKHtar bhi tujh sa
insan hai insan ko banaya na KHuda kar
ye hijr-e-musalsal raha aain-e-mohabbat
is dard ki talKHi se pareshan na hua kar
'adil' ye sar-e-sham kahan jaane laga hai
tu sut ki dastar mein paiwand laga kar
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.