rozi mili to hath se sab yariyan gain
rozī milī to haath se sab yāriyāñ ga.iiñ
āvārgī kī apnī tarah-dāriyāñ ga.iiñ
taarā sahar kā bazm ko kartā thā muntashir
rāteñ ga.iiñ vo raat kī bedāriyāñ ga.iiñ
rakhte the chheḌ taaki manāne meñ lutf aa.e
vo log chhuT ga.e vo dil-āzāriyāñ ga.iiñ
dānista Dālte giraheñ baat baat meñ
bahseñ ga.iiñ vo mahfilī ayyāriyāñ ga.iiñ
rangoñ ke pech-o-ḳham meñ ulajhtī thī aañkh aañkh
apnī girah se shaam kī bāzāriyāñ ga.iiñ
rozi mili to hath se sab yariyan gain
aawargi ki apni tarah-dariyan gain
tara sahar ka bazm ko karta tha muntashir
raaten gain wo raat ki bedariyan gain
rakhte the chheD taki manane mein lutf aae
wo log chhuT gae wo dil-azariyan gain
danista Dalte girahen baat baat mein
bahsen gain wo mahfili ayyariyan gain
rangon ke pech-o-KHam mein ulajhti thi aankh aankh
apni girah se sham ki bazariyan gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.