rujua karte hue apne muddaa se main
Interesting Fact
April 12, 2004, Lahore
rujūa karte hue apne mudda.ā se maiñ
tire alāva bhī kuchh maañg luuñ ḳhudā se maiñ
koī charāġh agar ho mire ta.āqub meñ
thakan sameTtā jā.ūñ nuqūsh-e-pā se maiñ
faqīr huuñ isī kūche meñ ḳhaak phāñktā huuñ
sadā lagā nahīñ saktā magar hayā se maiñ
rukūñgā jā ke kisī ḳhūb-rū kī chaukhaT par
galī meñ phuul khilātā huā duā se maiñ
kabhī kabhī yūñhī apne se pūchh letā huuñ
kisī ke khoj meñ niklā thā kab sabā se maiñ
mire baġhair mukammal nahīñ hai ye duniyā
ki is qaziye meñ shāmil huuñ ibtidā se maiñ
shaguft hotā huā aa.ina hai dil merā
mire ḳhudā abhī mahfūz huuñ riyā se maiñ
ragoñ meñ barf banī niiñd ke pighalne par
tumheñ pukārte niklūñgā nainvā se maiñ
sunā hai raah meñ hote haiñ sāya-dār shajar
kabhī milūñgā kisī dard-āshnā se maiñ
lagā rahūñgā yūñhī vasl kī tag-o-dau meñ
marūñ ki zinda rahūñ aap kī balā se maiñ
gulāb khilne lage haiñ mirī rag-o-pai meñ
kahūñgā jā ke chaman meñ kabhī sabā se maiñ
hadaf banā.ūñ kisī sūrmā ko ab 'sājid'
tamām umr na laḌtā rahūñ havā se maiñ
rujua karte hue apne muddaa se main
tere alawa bhi kuchh mang lun KHuda se main
koi charagh agar ho mere taaqub mein
thakan sameTta jaun nuqush-e-pa se main
faqir hun isi kuche mein KHak phankta hun
sada laga nahin sakta magar haya se main
rukunga ja ke kisi KHub-ru ki chaukhaT par
gali mein phul khilata hua dua se main
kabhi kabhi yunhi apne se puchh leta hun
kisi ke khoj mein nikla tha kab saba se main
mere baghair mukammal nahin hai ye duniya
ki is qaziye mein shamil hun ibtida se main
shaguft hota hua aaina hai dil mera
mere KHuda abhi mahfuz hun riya se main
ragon mein barf bani nind ke pighalne par
tumhein pukarte niklunga nainwa se main
suna hai rah mein hote hain saya-dar shajar
kabhi milunga kisi dard-ashna se main
laga rahunga yunhi wasl ki tag-o-dau mein
marun ki zinda rahun aap ki bala se main
gulab khilne lage hain meri rag-o-pai mein
kahunga ja ke chaman mein kabhi saba se main
hadaf banaun kisi surma ko ab 'sajid'
tamam umr na laDta rahun hawa se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.