ruk nahin sakte kahin hum lamha-bhar
ruk nahīñ sakte kahīñ ham lamha-bhar
haiñ ta.āqub meñ vo āsebī shajar
ā.ina-ḳhāne munavvar ho ga.e
gard ne dhuñdlā diye haiñ rahguzar
manziloñ kī gard se bhī paak hai
haa.e ye bahrī parindoñ kā safar
kis kī āñkhoñ meñ salāḳheñ gaaḌ diiñ
kis ke sar pe rakh ga.e tāj-e-guhar
nit-na.ī shakleñ badaltā jā.egā
tū abhī se apne saa.e se na Dar
kaun barfīlī havā kī zad meñ thā
munharif kis se hue dīvār-o-dar
ruk nahin sakte kahin hum lamha-bhar
hain taaqub mein wo aasebi shajar
aaina-KHane munawwar ho gae
gard ne dhundla diye hain rahguzar
manzilon ki gard se bhi pak hai
hae ye bahri parindon ka safar
kis ki aankhon mein salaKHen gaD din
kis ke sar pe rakh gae taj-e-guhar
nit-nai shaklen badalta jaega
tu abhi se apne sae se na Dar
kaun barfili hawa ki zad mein tha
munharif kis se hue diwar-o-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.