ruk-ruk ke raste mein shajar dekhta raha
ruk-ruk ke rāste meñ shajar dekhtā rahā
pahuñchā jo apne ghar pe to ghar dekhtā rahā
din-bhar to kheltā rahā bachchoñ ke saath phir
paanī meñ ghūr-ghūr ke sar dekhtā rahā
is arsa-e-nigāh meñ izn-e-vafā kahāñ
muddat talak vo merī nazar dekhtā rahā
phir us ne apne chehre se āñkheñ utaar diiñ
āñgan meñ dil ke raqs-e-sharar dekhtā rahā
maujoñ ke ār-pār safīna thā ḳhvāb kā
gahre samundaroñ se sahar dekhtā rahā
bikhre hue vo rang vo uḌtā huā jamāl
zulfoñ ko us kī tā-ba-kamar dekhtā rahā
jholī meñ bhar ke la.al-o-gohar log chal diye
'ajmal' matā.a-e-harf-o-hunar dekhtā rahā
ruk-ruk ke raste mein shajar dekhta raha
pahuncha jo apne ghar pe to ghar dekhta raha
din-bhar to khelta raha bachchon ke sath phir
pani mein ghur-ghur ke sar dekhta raha
is arsa-e-nigah mein izn-e-wafa kahan
muddat talak wo meri nazar dekhta raha
phir us ne apne chehre se aankhen utar din
aangan mein dil ke raqs-e-sharar dekhta raha
maujon ke aar-par safina tha KHwab ka
gahre samundaron se sahar dekhta raha
bikhre hue wo rang wo uDta hua jamal
zulfon ko us ki ta-ba-kamar dekhta raha
jholi mein bhar ke lal-o-gohar log chal diye
'ajmal' mataa-e-harf-o-hunar dekhta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.