Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruka na gham ka jo sail-e-rawan to kya hoga

Qamar Rais Bahraichi

ruka na gham ka jo sail-e-rawan to kya hoga

Qamar Rais Bahraichi

MORE BYQamar Rais Bahraichi

    rukā na ġham jo sail-e-ravāñ to kyā hogā

    uThā badan se agarche dhuāñ to kyā hogā

    dayār-e-ishq meñ aane ko aa to jā.ūñ magar

    milā na aap nām-o-nishāñ to kyā hogā

    utar rahe haiñ falak se hayāt ke jugnū

    junūñ meñ Dhal ga.e vahm-o-gumāñ to kyā hogā

    libās-e-nau meñ hai gulshan har shajar lekin

    agar ḳhizāñ ne liyā imtihāñ to kyā hogā

    zabāñ pe pahrā ḳhirad ne lagā diyā hai magar

    lahū ne de diyā apnā bayāñ to kyā hogā

    badan ko aa.ina tum ne banā liyā to kyā

    kisī ne khol apnī zabāñ to kyā hogā

    abhī nihāñ hai har ik zaḳhm-e-dil lahū meñ 'qamar'

    mahak uThā jo ye zaḳhm-e-nihāñ to kyā hogā

    ruka na gham ka jo sail-e-rawan to kya hoga

    uTha badan se agarche dhuan to kya hoga

    dayar-e-ishq mein aane ko aa to jaun magar

    mila na aap ka nam-o-nishan to kya hoga

    utar rahe hain falak se hayat ke jugnu

    junun mein Dhal gae wahm-o-guman to kya hoga

    libas-e-nau mein hai gulshan ka har shajar lekin

    agar KHizan ne liya imtihan to kya hoga

    zaban pe pahra KHirad ne laga diya hai magar

    lahu ne de diya apna bayan to kya hoga

    badan ko aaina tum ne bana liya to kya

    kisi ne khol di apni zaban to kya hoga

    abhi nihan hai har ek zaKHm-e-dil lahu mein 'qamar'

    mahak uTha jo ye zaKHm-e-nihan to kya hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now