ruka sa tha koi manzar magar Thahra nahin tha
rukā sā thā koī manzar magar Thahrā nahīñ thā
laraztī yaad kā aañsū thā aur bahtā nahīñ thā
samajhte the vo kam-āmezī-e-darvāza-e-dil
bahut dastak thī lekin zaḳhm-e-āvāza nahīñ thā
basārat meñ kisī nādīda vahshat kī raḌak thī
bhaTaktī aañkh meñ kis dasht kā TukḌā nahīñ thā
sabā hamrāh-e-sat.h-e-āb maiñ bahtā kahāñ tak
tamanna ghul rahī thī aur badan sachchā nahīñ thā
khulā phir raat ke kohre pe āḳhir raat kho kar
havā ke haath meñ jo 'aks thā us kā nahīñ thā
sulagtī raat kī raanī lapaT kī aas meñ thī
bujhī rut kī hathelī par diyā khiltā nahīñ thā
hamī betāb the zarre kā taarā tāpte the
ḳhudā ke aa.ine meñ kaun sā sahrā nahīñ thā
ruka sa tha koi manzar magar Thahra nahin tha
larazti yaad ka aansu tha aur bahta nahin tha
samajhte the wo kam-amezi-e-darwaza-e-dil
bahut dastak thi lekin zaKHm-e-awaza nahin tha
basarat mein kisi nadida wahshat ki raDak thi
bhaTakti aankh mein kis dasht ka TukDa nahin tha
saba hamrah-e-sath-e-ab main bahta kahan tak
tamanna ghul rahi thi aur badan sachcha nahin tha
khula phir raat ke kohre pe aaKHir raat kho kar
hawa ke hath mein jo 'aks tha us ka nahin tha
sulagti raat ki rani lapaT ki aas mein thi
bujhi rut ki hatheli par diya khilta nahin tha
hami betab the zarre ka tara tapte the
KHuda ke aaine mein kaun sa sahra nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.