ruke hue hain jo dariya unhen rawani de
ruke hue haiñ jo dariyā unheñ ravānī de
tū apne hone kī mujh ko koī nishānī de
palaT ke dekh luuñ tujh ko to sañg ho jā.ūñ
mire yaqīn ko aisī koī kahānī de
maiñ shāh-kār huuñ terā to ai ḳhudā ik din
ye muzhda aa ke mire rū-ba-rū zabānī de
vo mere ḳhvāboñ ko āñkhoñ se chhīn letā hai
use na shahr-e-tamannā kī hukmarānī de
samundaroñ pe baras kar na ho fanā bādal
jo log pyāse haiñ un ke laboñ ko paanī de
hai tañg merī nazar meñ ye kā.enāt terī
mire ḳhudā mujhe idrāk-e-lā-makānī de
maiñ ḳhālī haath milūñ tujh se kis tarah yārab
kitāb siine pe mere bhī āsmānī de
ruke hue hain jo dariya unhen rawani de
tu apne hone ki mujh ko koi nishani de
palaT ke dekh lun tujh ko to sang ho jaun
mere yaqin ko aisi koi kahani de
main shah-kar hun tera to ai KHuda ek din
ye muzhda aa ke mere ru-ba-ru zabani de
wo mere KHwabon ko aankhon se chhin leta hai
use na shahr-e-tamanna ki hukmarani de
samundaron pe baras kar na ho fana baadal
jo log pyase hain un ke labon ko pani de
hai tang meri nazar mein ye kaenat teri
mere KHuda mujhe idrak-e-la-makani de
main KHali hath milun tujh se kis tarah yarab
kitab sine pe mere bhi aasmani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.