ruKH apni tamannaon ka ab moD raha hun
ruḳh apnī tamannāoñ kā ab moḌ rahā huuñ
ik TuuTe hue shaḳhs ko maiñ joḌ rahā huuñ
manzil kā ta.ayyun hai na sāñsoñ kā bharosa
maiñ vaqt kī taqlīd meñ bas dauḌ rahā huuñ
maiñ auroñ ke hisse ke bhī dam phūñk na jā.ūñ
ye soch ke jaldī se maiñ dam toḌ rahā huuñ
jis sehr ne toḌā hai mujhe haal meñ aa kar
maazī meñ usī sehr kā maiñ toḌ rahā huuñ
insān kī takmīl hai rah jaanā adhūrā
kuchh kaam adhūre maiñ tabhī chhoḌ rahā huuñ
jis shāḳh ko chhūne se huā ḳhuld se bāhar
maiñ aaj bhī us shāḳh se phal toḌ rahā huuñ
ik ġham se hai ashkoñ ke ta.alluq kī vazāhat
maiñ ashk se patthar ko agar toḌ rahā huuñ
jiddat kā taqāza hai ulaT baat tū 'kāzim'
dīvār ko maiñ sar se miyāñ phoḌ rahā huuñ
ruKH apni tamannaon ka ab moD raha hun
ek TuTe hue shaKHs ko main joD raha hun
manzil ka tayyun hai na sanson ka bharosa
main waqt ki taqlid mein bas dauD raha hun
main auron ke hisse ke bhi dam phunk na jaun
ye soch ke jaldi se main dam toD raha hun
jis sehr ne toDa hai mujhe haal mein aa kar
mazi mein usi sehr ka main toD raha hun
insan ki takmil hai rah jaana adhura
kuchh kaam adhure main tabhi chhoD raha hun
jis shaKH ko chhune se hua KHuld se bahar
main aaj bhi us shaKH se phal toD raha hun
ek gham se hai ashkon ke talluq ki wazahat
main ashk se patthar ko agar toD raha hun
jiddat ka taqaza hai ulaT baat tu 'kazim'
diwar ko main sar se miyan phoD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.